Saturday, December 23, 2006

Sholay ki Mausi aur Jay







MAUSI: Arey beta bus itna samajhlon ki ghar mein jawaan beti seene par pathar ki sheel ki tarah hoti hain, Basanti kaa byaah ho jaaye toh chain ki saans lun.
JAY: haan, sach kahaa MAUSI aapne, bada bojh hain aap par. MAUSI: lekin beta is bojh ko koi kuwye par toh fenk nahin detaa. Bura nahin maanna, itna toh puchhna hi padtaa hain ki LADKye kaa khandaan kyaa hain? uskaa lakshan kaisa hain? kamaata kitna hain?JAY: Kamaane kaa toh ye hain MAUSI ki ek baar biwi bachcho ki jimmewaari sar pe aa gayi toh kamaanay bhi lagegaa.MAUSI: Toh kyaa abhi kuch bhi nahin kamaataa?JAY: Nahin nahin ye maine kab kahaa MAUSI. Kamaataa hain lekin, AB roz roz toh aadmi jeet nahin saktaa, kabhi haar bhi jaataa hain bechaaraa.MAUSI: haar jaataa hain? JAY: Haan, MAUSI, ye kambakht juwaa chiez hi aisi hain, ab main kyaa kahoon.MAUSI: Haaaan : O . Toh kyaa juwaari hain?JAY: chhi chhi chhi chhi, MAUSI, woh aur juwaari?? naa naa, woh toh bahut achhaa aur nek ladkaa hain. Lekin MAUSI ek baar sharaab pili na fir achhe burye kaa kahaa hosh rehtaa hain. Haat pakadkar baithaa liyaa kisine juwaa khelne. Ab ismein bechaare Viru kaa kyaa dosh.MAUSI: Thik kehte ho beta, juwaari woh, sharabi woh, lekin uskaa koi dosh nahi hain.JAY: ab toh aap mere dost ko galat samajh rahi hain, woh toh itnaa sidhaa aur bholaa hain, arey !! Basanti se uski shaadi karke to dekhiye. ye juwe aur sharab ki aadat toh do- din mein chhut jaayegi.MAUSI: arye beta, mujh budhiyaa ko samjhaa rahe ho?? ye sharab aur juwe ki aadat kisi ki chuti hain aaj tak?JAY: MAUSI, aap Viru ko nahin jaanti. Bishwash kijiye woh is tarah ka insaan nahin hain. Ek baar shadi hogayi toh us gaanye wali ke ghar jana bund kardegaa, bus. Sharaab apne aap chhoot JAYegi.MAUSI: Haaye Haaye !!! : O : O !! bus yehi ek kami reh gayi thi? toh kyaa, kisi gaane waali ki ghar bhi aanaa-jaanaa hain?JAY: TOh is mein kaun si buri baat hain MAUSI? arye gaanaa sunne toh raja-maharaja, uchye-uchye khandan ke log jaate hain. Haa MAUSI: Achhaa!! toh beta ye bhi bataake jao ki tumhaara ye gunwaan dost kis khandan ka hain?JAY: bus MAUSI, khandan kaa pataa chalte hi hum aapko khabar dedengeMAUSI: ek baat ki daad dungi beta, bhale SAU buraayiyaa hain tumhaari dost mein, fir bhi tumhaari muh se uskay liye taaarif hi nikalti hain.JAY: Haa Haa, kyaa karoon MAUSI, mera toh dil hi aisaa hain. TOH MEIN ye RISHTAA PAKKA SAMJHOOO ?????

No comments: